Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Nihal Rizvi
dhuup kyunkar na ho itaab-zada
saaya saaya hai aaftaab-zada
niind aanaa vahaan buraa kyon hai
jaagnaa bhi jahaan ho khvaab-zada
· · ·
Nihal Rizvi
mujh ko shaahi nahin taufiq-e-faqiraana de
rakh mujhe bazm mein chaahe mujhe viraana de
bhar de bharnaa hai agar ishq kaa saudaa sar mein
mujh ko denaa hai agar jurat-e-rindaana de
· · ·
Nihal Rizvi
koi shoala hai ki shabnam nahin dekhaa jaataa
jaada-e-ishq pe mausam nahin dekhaa jaataa
aanaa hotaa hai to aa jaataa hai tufaan zarur
khushk saahil hai ki hai nam nahin dekhaa jaataa
· · ·
Nihal Rizvi
ham samajhte hain jise apnaa jahaan kuchh aur hai
ye zamin kuchh aur hai ye aasmaan kuchh aur hai
ji rahe hain ham jise naachiz hai vo zindagi
ye ghubaar-e-kaarvaan hai kaarvaan kuchh aur hai
· · ·
Nihal Rizvi
zindagi kaa ye ajab dastur hai
paas jo jitnaa hai utnaa duur hai
aks aae bhi to kyaa aae nazar
ek shisha vo bhi chaknaa-chur hai
· · ·
Nihal Rizvi
kabhi uruuj kabhi vo zavaal detaa hai
koi to hai jo falak par uchhaal detaa hai
vahi to sang-taraashon kaa dast-e-pinhaan hai
vahi to siip se moti nikaal detaa hai
· · ·
Nihal Rizvi
khud ko dekhun ki main jahaan dekhun
ik nazar se kahaan kahaan dekhun
sar ko rakh kar zamin ke qadmon par
kab talak su-e-asmaan dekhun
· · ·
Nihal Rizvi
sang ho yaa aaina sab ki kahaani ek hai
aag sab ki ek hai aur sab kaa paani ek hai
kuchh haqiqat-aashnaa hain ab bhi go thoDe sahi
is nai duniyaa mein bhi duniyaa puraani ek hai
· · ·
Nihal Rizvi
ghar ke fard apne ghar ko bhuul gae
ham-safar ham-safar ko bhuul gae
thi na pahchaan kuchh bhi jin ke baghair
log unhin baam-o-dar ko bhuul gae
· · ·
Nihal Rizvi
bahaar ban ke jab se vo mire jahaan pe chhaae hain
tajalliyon ki chaandni hai maktabon ke saae hain
Thahar Thahar ke khush-gavaar inqalaab aae hain
sambhal sambhal ke vo mire junun pe muskuraae hain
· · ·
Nihal Rizvi
hisaar-e-jism se aazaad hone vaalaa huun
kisi ko paa ke kisi shai ko khone vaalaa huun
jo miT gae hain vo aqdaar jama karne hain
bikhar gae hain jo moti pirone vaalaa huun
· · ·
Nihal Rizvi
jo ab javaan hai vo azm-e-javaan rahe na rahe
bahaar aae na aae khizaan rahe na rahe
pata nahin ki samundar mein baad-e-tufaan bhi
safina ho ke na ho baadbaan rahe na rahe
· · ·
Nihal Rizvi
gher kar jurat-e-inkaar talak le aae
log ham ko rasan-o-daar talak le aae
ham ko un par hi bharosa thaa jo aksar ham ko
de ke phulon ki qasam khaar talak le aae
· · ·







