Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Wali Dakni
tujh lab ki sifat laal-e-badakhshaan suun kahungaa
jaadu hain tire nain ghazaalaan suun kahungaa
di baadshahi haq ne tujhe husn-nagar ki
yu kishvar-e-iraan mein sulaimaan suun kahungaa
· · ·
Wali Dakni
shaghl behtar hai ishq-baazi kaa
kyaa haqiqi o kyaa majaazi kaa
har zabaan par hai misl-e-shaana mudaam
zikr tujh zulf ki daraazi kaa
· · ·
Wali Dakni
yaad karnaa har ghaDi us yaar kaa
hai vazifa mujh dil-e-bimaar kaa
aarzu-e-chashma-e-kausar naiin
tishna-lab huun sharbat-e-didaar kaa
· · ·
Wali Dakni
jise ishq kaa tiir kaari lage
use zindagi kyuun na bhaari lage
na chhoDe mohabbat dam-e-marg tak
jise yaar-e-jaani suun yaari lage
· · ·
Wali Dakni
khub-ru khuub kaam karte hain
yak nigah mein ghulaam karte hain
dekh khubaan kuun vaqt milne ke
kis adaa suun salaam karte hain
· · ·
Wali Dakni
muflisi sab bahaar khoti hai
mard kaa e'tibaar khoti hai
kyunke haasil ho muj ko jamiyyat
zulf teri qaraar khoti hai
· · ·
Wali Dakni
mat ghusse ke sho'le suun jalte kuun jalaati jaa
Tuk mehr ke paani suun tu aag bujhaati jaa
tujh chaal ki qimat suun dil nain hai miraa vaaqif
ai maan bhari chanchal Tuk bhaav bataati jaa
· · ·
Wali Dakni
vo naaznin adaa mein ejaaz hai saraapaa
khubi mein gul-rukhaan suun mumtaaz hai saraapaa
ai shokh tujh nayan mein dekhaa nigaah kar kar
aashiq ke maarne kaa andaaz hai saraapaa
· · ·
Wali Dakni
vo sanam jab suun basaa dida-e-hairaan mein aa
aatish-e-ishq paDi aql ke saamaan mein aa
naaz detaa nahin gar rukhsat-e-gul-gasht-e-chaman
ai chaman-zaar-e-hayaa dil ke gulistaan mein aa
· · ·







