"tujh lab ki sifat laal-e-badakhshaan suun kahungaa jaadu hain tire nain ghazaalaan suun kahungaa di baadshahi haq ne tujhe husn-nagar ki yu kishvar-e-iraan mein sulaimaan suun kahungaa taarif tire qad ki alif-vaar sirijan jaa sarv-e-gulistaan kuun khush-alhaan suun kahungaa mujh par na karo zulm tum ai laili-e-khubaan majnun huun tire gham kuun bayaabaan suun kahungaa dekhaa huun tujhe khvaab mein ai maaya-e-khubi is khvaab ko jaa yusuf-e-kanaan suun kahungaa jaltaa huun shab-o-roz tire gham mein ai saajan ye soz tiraa mashal-e-sozaan suun kahungaa yak nuqta tire safha-e-rukh par nain bejaa is mukh ko tire safha-e-quraan suun kahungaa qurbaan pari mukh pe hui chob si jal kar ye baat ajaaib mah-e-taabaan suun kahungaa be-sabr na ho ai 'vali' is dard suun hargiz jaltaa huun tire dard mein darmaan suun kahungaa"
yaad karnaa har ghaDi us yaar kaa — Wali Dakni
"yaad karnaa har ghaDi us yaar kaa hai vazifa mujh dil-e-bimaar kaa aarzu-e-chashma-e-kausar naiin tishna-lab huun sharbat-e-didaar kaa aaqibat kyaa hovegaa maalum naiin dil huaa hai mubtalaa dildaar kaa kyaa kahe taarif dil hai be-nazir harf harf us makhzan-e-asraar kaa gar huaa hai taalib-e-aazaadgi band mat ho subha o zunnaar kaa masnad-e-gul manzil-e-shabnam hui dekh rutba dida-e-bedaar kaa ai 'vali' honaa sirijan par nisaar muddaaa hai chashm-e-gauhar-baar kaa"
یاد کرنا ہر گھڑی اس یار کا ہے وظیفہ مجھ دل بیمار کا آرزوئے چشمۂ کوثر نئیں تشنہ لب ہوں شربت دیدار کا عاقبت کیا ہووے گا معلوم نئیں دل ہوا ہے مبتلا دل دار کا کیا کہے تعریف دل ہے بے نظیر حرف حرف اس مخزن اسرار کا گر ہوا ہے طالب آزادگی بند مت ہو سبحہ و زنار کا مسند گل منزل شبنم ہوئی دیکھ رتبہ دیدۂ بے دار کا اے ولیؔ ہونا سریجن پر نثار مدعا ہے چشم گوہر بار کا
याद करना हर घड़ी उस यार का है वज़ीफ़ा मुझ दिल-ए-बीमार का आरज़ू-ए-चश्मा-ए-कौसर नईं तिश्ना-लब हूँ शर्बत-ए-दीदार का आक़िबत क्या होवेगा मालूम नईं दिल हुआ है मुब्तला दिलदार का क्या कहे तारीफ़ दिल है बे-नज़ीर हर्फ़ हर्फ़ उस मख़्ज़न-ए-असरार का गर हुआ है तालिब-ए-आज़ादगी बंद मत हो सुब्हा ओ ज़ुन्नार का मसनद-ए-गुल मंज़िल-ए-शबनम हुई देख रुत्बा दीदा-ए-बेदार का ऐ 'वली' होना सिरीजन पर निसार मुद्दआ है चश्म-ए-गौहर-बार का

More by Wali Dakni
View all →"shaghl behtar hai ishq-baazi kaa kyaa haqiqi o kyaa majaazi kaa har zabaan par hai misl-e-shaana mudaam zikr tujh zulf ki daraazi kaa aaj teri bhavaan ne masjid mein hosh khoyaa hai har namaazi kaa gar naiin raaz-e-ishq suun aagaah fakhr bejaa hai fakhr-e-raazi kaa ai 'vali' sarv-qad ko dekhungaa vaqt aayaa hai sarfaraazi kaa"
"jise ishq kaa tiir kaari lage use zindagi kyuun na bhaari lage na chhoDe mohabbat dam-e-marg tak jise yaar-e-jaani suun yaari lage na hove use jag mein hargiz qaraar jise ishq ki be-qaraari lage har ik vaqt mujh aashiq-e-paak kuun pyaare tiri baat pyaari lage 'vali' kuun kahe tu agar yak bachan raqibaan ke dil mein kaTaari lage"
"khub-ru khuub kaam karte hain yak nigah mein ghulaam karte hain dekh khubaan kuun vaqt milne ke kis adaa suun salaam karte hain kyaa vafaadaar hain ki milne mein dil suun sab raam-raam karte hain kam-nigaahi son dekhte hain vale kaam apnaa tamaam karte hain kholte hain jab apni zulfaan kuun subh-e-aashiq kuun shaam karte hain saahib-e-lafz us kuun kah sakiye jis suun khubaan kalaam karte hain dil lajaate hain ai 'vali' meraa sarv-qad jab khiraam karte hain"
"muflisi sab bahaar khoti hai mard kaa e'tibaar khoti hai kyunke haasil ho muj ko jamiyyat zulf teri qaraar khoti hai har sahar shokh ki nigah ki sharaab mujh ankhaan kaa khumaar khoti hai kyunke milnaa sanam kaa tark karun dilbari ikhtiyaar khoti hai ai 'vali' aab us pari-ru ki mujh sine kaa ghubaar khoti hai"
"mat ghusse ke sho'le suun jalte kuun jalaati jaa Tuk mehr ke paani suun tu aag bujhaati jaa tujh chaal ki qimat suun dil nain hai miraa vaaqif ai maan bhari chanchal Tuk bhaav bataati jaa is raat andhaari mein mat bhuul paDun tujh suun Tuk paanv ke jhaanjhar ki jhankaar sunaati jaa mujh dil ke kabutar kuun baandhaa hai tiri laT ne ye kaam dharam kaa hai Tuk is ko chhuDaati jaa tujh mukh ki parastish mein gai 'umr miri saari ai but ki pujan-haari Tuk is ko pujaati jaa tujh 'ishq mein jal-jal kar sab tan kuun kiyaa kaajal ye raushni-afzaa hai ankhiyaan ko lagaati jaa tujh neh mein dil jal-jal jogi ki liyaa surat yak-baar ise mohan chhaati suun lagaati jaa tujh ghar ki taraf sundar aataa hai 'vali' daaim mushtaaq daras kaa hai Tuk dars dikhaati jaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"