Shayari
ye aur baat musalsal haraa rahaa lekin
darakht-e-dil pe kabhi mausami samar na lage
marne ke liye aae the ham dasht-e-balaa mein
jiine ki du'aa de gayaa darvesh hamein kyon
مرنے کے لیے آئے تھے ہم دشت بلا میں
جینے کی دعا دے گیا درویش ہمیں کیوں
मरने के लिए आए थे हम दश्त-ए-बला में
जीने की दु'आ दे गया दरवेश हमें क्यों

ye aur baat musalsal haraa rahaa lekin
darakht-e-dil pe kabhi mausami samar na lage
aarzu-e-dil-e-betaab mukammal kar de
khvaahish-e-did-e-sanam chashm mein bal khaati hai
dil lutf-e-intizaar kaa ummid-vaar thaa
vo dastyaab ho gayaa taakhir ke baghair
tamannaa dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki
nahin miltaa ye gauhar baadshaahon ke khazinon mein
harba hai aashiqon kaa faqat aah-e-pechdaar
darvesh log rakhte hain jaise hiran ki shaakh
vaan laal phaDaktaa hai amiron ke qafas mein
yaan faakhta haq-go hai faqiron ke qafas mein
ab faqiri mein koi baat nahin
hashmat-o-jaah-o-karr-o-far de de
musallaa rakhte hain sahbaa-o-jaam rakhte hain
faqir sab ke liye intizaam rakhte hain
ye samajh kar faqiri hi mein hai khudaa
gun hamesha faqiron ke gaate rahe