Shayari
marne ke liye aae the ham dasht-e-balaa mein
jiine ki du'aa de gayaa darvesh hamein kyon
dil lutf-e-intizaar kaa ummid-vaar thaa
vo dastyaab ho gayaa taakhir ke baghair
دل لطف انتظار کا امیدوار تھا
وہ دستیاب ہو گیا تاخیر کے بغیر
दिल लुत्फ़-ए-इंतिज़ार का उम्मीदवार था
वो दस्तयाब हो गया ताख़ीर के बग़ैर

marne ke liye aae the ham dasht-e-balaa mein
jiine ki du'aa de gayaa darvesh hamein kyon
ye aur baat musalsal haraa rahaa lekin
darakht-e-dil pe kabhi mausami samar na lage
aarzu-e-dil-e-betaab mukammal kar de
khvaahish-e-did-e-sanam chashm mein bal khaati hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
be-khudi le gai kahaan ham ko
der se intizaar hai apnaa
ishq kachche ghaDe pe Duub gayaa
lamha jab intizaar kaa aayaa
ghazab kiyaa tire vaade pe e'tibaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intizaar kiyaa
aisi hi intizaar mein lazzat agar na ho
to do ghaDi firaaq mein apni basar na ho