Shayari
marne ke liye aae the ham dasht-e-balaa mein
jiine ki du'aa de gayaa darvesh hamein kyon
aarzu-e-dil-e-betaab mukammal kar de
khvaahish-e-did-e-sanam chashm mein bal khaati hai
آرزوئے دل بیتاب مکمل کر دے
خواہش دید صنم چشم میں بل کھاتی ہے
आरज़ू-ए-दिल-ए-बेताब मुकम्मल कर दे
ख़्वाहिश-ए-दीद-ए-सनम चश्म में बल खाती है

marne ke liye aae the ham dasht-e-balaa mein
jiine ki du'aa de gayaa darvesh hamein kyon
ye aur baat musalsal haraa rahaa lekin
darakht-e-dil pe kabhi mausami samar na lage
dil lutf-e-intizaar kaa ummid-vaar thaa
vo dastyaab ho gayaa taakhir ke baghair
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae