Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
mere hone mein miraa apnaa nahin thaa kuchh sharik
meri hasti sirf tere e'tinaa ki baat thi
میرے ہونے میں مرا اپنا نہیں تھا کچھ شریک
میری ہستی صرف تیرے اعتنا کی بات تھی
मेरे होने में मिरा अपना नहीं था कुछ शरीक
मेरी हस्ती सिर्फ़ तेरे ए'तिना की बात थी

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
taklif miT gai magar ehsaas rah gayaa
khush huun ki kuchh na kuchh to mire paas rah gayaa
sirf ik qadam uThaa thaa ghalat raah-e-shauq mein
manzil tamaam umr mujhe DhunDhti rahi
kahte hain umr-e-rafta kabhi lauTti nahin
jaa mai-kade se meri javaani uThaa ke laa
jin se insaan ko pahunchti hai hamesha taklif
un kaa daavaa hai ki vo asl khudaa vaale hain
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki