Shayari
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
kahte hain umr-e-rafta kabhi lauTti nahin
jaa mai-kade se meri javaani uThaa ke laa
کہتے ہیں عمر رفتہ کبھی لوٹتی نہیں
جا مے کدے سے میری جوانی اٹھا کے لا
कहते हैं उम्र-ए-रफ़्ता कभी लौटती नहीं
जा मय-कदे से मेरी जवानी उठा के ला

zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh