Shayari
zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraan ki tarah
kis ko itnaa hausla thaa kaun ji kar dekhtaa
raavan thaa main to uf ki bhi jurat kisi mein thi
ban-baas mil gayaa jo 'qamar' raam kyaa huaa
راون تھا میں تو اف کی بھی جرأت کسی میں تھی
بن باس مل گیا جو قمرؔ رام کیا ہوا
रावन था मैं तो उफ़ की भी जुरअत किसी में थी
बन-बास मिल गया जो 'क़मर' राम क्या हुआ
zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraan ki tarah
kis ko itnaa hausla thaa kaun ji kar dekhtaa
dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti
khairaat mein itni baDi daulat nahin milti
dard tu mere paas se marte talak na jaaiyo
taaqat-e-sabr ho na ho taab-o-qaraar ho na ho
chaahiye khud pe yaqin-e-kaamil
hausla kis kaa baDhaataa hai koi
sitam-navaazi-e-paiham hai ishq ki fitrat
fuzul husn pe tohmat lagaai jaati hai
gae bhi jaan se aur koi mutmain na huaa
ki phir difaaa na karne ki ham pe tohmat thi