Shayari
bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho
gae bhi jaan se aur koi mutmain na huaa
ki phir difaaa na karne ki ham pe tohmat thi
گئے بھی جان سے اور کوئی مطمئن نہ ہوا
کہ پھر دفاع نہ کرنے کی ہم پہ تہمت تھی
गए भी जान से और कोई मुतमइन न हुआ
कि फिर दिफ़ाअ न करने की हम पे तोहमत थी

bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho
vo basti naa-khudaaon ki thi lekin
mile kuchh Dubne vaale vahaan bhi
jaise ye mez miTTi kaa haathi ye phuul
ek kone mein ham bhi hain rakkhe hue
kis tarah aae hain is pahli mulaaqaat talak
aur mukammal hai judaa hone ki tayyaari bhi
kahin na thaa vo dariyaa jis kaa saahil thaa main
aankh khuli to ik sahraa ke muqaabil thaa main
manzilon par ham milein ye tai huaa
vaapsi mein saath pakkaa kar liyaa
zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraan ki tarah
kis ko itnaa hausla thaa kaun ji kar dekhtaa
chalne kaa hausla nahin ruknaa muhaal kar diyaa
ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diyaa
vo bahut chaalaak hai lekin agar himmat karein
pahlaa pahlaa jhuuT hai us ko yaqin aa jaaegaa
ik fursat-e-gunaah mili vo bhi chaar din
dekhe hain ham ne hausle parvardigaar ke
hausla kis mein hai yusuf ki kharidaari kaa
ab to mahngaai ke charche hain zulekhaaon mein
nikal ke khuld se un ko mili khilaafat-e-arz
nikaale jaane ki tohmat hamaare sar aai