Shayari
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
kaahishein si kaahishein hain hasratein si hasratein
log kyon marte hain aisi zindagi ke vaaste
کاہشیں سی کاہشیں ہیں حسرتیں سی حسرتیں
لوگ کیوں مرتے ہیں ایسی زندگی کے واسطے
काहिशें सी काहिशें हैं हसरतें सी हसरतें
लोग क्यों मरते हैं ऐसी ज़िंदगी के वास्ते
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
tere bin hayaat ki soch bhi gunaah thi
ham qarib-e-jaan tiraa hisaar dekhte rahe
zindagi is qadar kaThin kyuun hai
aadmi ki bhalaa khataa kyaa hai
jise guzaar gae ham baDe hunar ke saath
vo zindagi thi hamaari hunar na thaa koi