Shayari
bas ek baar manaayaa thaa jashn-e-mahrumi
phir us ke baad koi ibtilaa nahin aai
mataa-e-dard parakhnaa to bas ki baat nahin
jo tujh ko dekh ke aae vo ham ko pahchaane
متاع درد پرکھنا تو بس کی بات نہیں
جو تجھ کو دیکھ کے آئے وہ ہم کو پہچانے
मता-ए-दर्द परखना तो बस की बात नहीं
जो तुझ को देख के आए वो हम को पहचाने

bas ek baar manaayaa thaa jashn-e-mahrumi
phir us ke baad koi ibtilaa nahin aai
jis ki jaanib 'adaa' nazar na uThi
haal us kaa bhi mere haal saa thaa
hazaar kos nigaahon se dil ki manzil tak
koi qarib se dekhe to ham ko pahchaane
dil ke viraane mein ghume to bhaTak jaaoge
raunaq-e-kucha-o-baazaar se aage na baDho
kuchh itni raushni mein the chehron ke aaine
dil us ko DhunDhtaa thaa jise jaantaa na thaa
varna insaan mar gayaa hotaa
koi be-naam justuju hai abhi
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aansuon se koi aavaaz ko nisbat na sahi
bhigti jaae to kuchh aur nikharti jaae
farq ye hai nutq ke saanche mein Dhal saktaa nahin
varna jo aansu hai durr-e-shaah-vaar-e-naghma hai