Shayari
sab kuchh khudaa se maang liyaa tujh ko maang kar
uThte nahin hain haath mire is duaa ke baad
tum aur fareb khaao bayaan-e-raqib se
tum se to kam gila hai ziyaada nasib se
تم اور فریب کھاؤ بیان رقیب سے
تم سے تو کم گلہ ہے زیادہ نصیب سے
तुम और फ़रेब खाओ बयान-ए-रक़ीब से
तुम से तो कम गिला है ज़ियादा नसीब से

sab kuchh khudaa se maang liyaa tujh ko maang kar
uThte nahin hain haath mire is duaa ke baad
goyaa tumhaari yaad hi meraa ilaaj hai
hotaa hai pahron zikr tumhaaraa tabib se
hashr mein insaaf hogaa bas yahi sunte raho
kuchh yahaan hotaa rahaa hai kuchh vahaan ho jaaegaa
go havaa-e-gulsitaan ne mire dil ki laaj rakh li
vo naqaab khud uThaate to kuchh aur baat hoti
go haram ke raaste se vo pahunch gae khudaa tak
tiri rahguzar se jaate to kuchh aur baat hoti
ek dhundlaa saa tasavvur hai ki dil bhi thaa yahaan
ab to siine mein faqat ik Tiis si paataa huun main
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
silvaTein hain mire chehre pe to hairat kyuun hai
zindagi ne mujhe kuchh tum se ziyaada pahnaa
sunaa hai vo mire baare mein sochtaa hai bahut
khabar to hai hi magar mo'tabar zyaada nahin