Shayari
ye sadma jiite ji dil se hamaare jaa nahin saktaa
unhein vo bhule baiThe hain jo un par marne vaale hain
kyuun chup hain vo be-baat samajh mein nahin aataa
ye rang-e-mulaaqaat samajh mein nahin aataa
کیوں چپ ہیں وہ بے بات سمجھ میں نہیں آتا
یہ رنگ ملاقات سمجھ میں نہیں آتا
क्यूँ चुप हैं वो बे-बात समझ में नहीं आता
ये रंग-ए-मुलाक़ात समझ में नहीं आता

ye sadma jiite ji dil se hamaare jaa nahin saktaa
unhein vo bhule baiThe hain jo un par marne vaale hain
mujhe khabar nahin gham kyaa hai aur khushi kyaa hai
ye zindagi ki hai surat to zindagi kyaa hai
jab mulaaqaat hui tum se to takraar hui
aise milne se to behtar hai judaa ho jaanaa
ek dil hai ek hasrat ek ham hain ek tum
itne gham kam hain jo koi aur gham paidaa karein
tamaam umr isi ranj mein tamaam hui
kabhi ye tum ne na puchaa tiri khushi kyaa hai
rok le ai zabt jo aansu ki chashm-e-tar mein hai
kuchh nahin bigDaa abhi tak ghar ki daulat ghar mein hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
ai zulm ke maato lab kholo chup rahne vaalo chup kab tak
kuchh hashr to un se uTThegaa kuchh duur to naale jaaeinge
chup kahin aur liye phirti thi baatein kahin aur
din kahin aur guzarte the to raatein kahin aur
haq achchhaa par us ke liye koi aur mare to aur achchhaa
tum bhi koi mansur ho jo suuli pe chaDho khaamosh raho
dilon ke mel se aage labon ke silsile saare
jo lab khaamosh hote hain to aankhein baat karti hain