Shayari
khincho na kamaanon ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo
tashbih tire chehre ko kyaa duun gul-e-tar se
hotaa hai shagufta magar itnaa nahin hotaa
تشبیہ ترے چہرے کو کیا دوں گل تر سے
ہوتا ہے شگفتہ مگر اتنا نہیں ہوتا
तश्बीह तिरे चेहरे को क्या दूँ गुल-ए-तर से
होता है शगुफ़्ता मगर इतना नहीं होता

khincho na kamaanon ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo
log kahte hain badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hain jo zamaane ko badal dete hain
ham aisi kul kitaabein qaabil-e-zabti samajhte hain
ki jin ko paDh ke laDke baap ko khabti samajhte hain
shaikh apni rag ko kyaa karein reshe ko kyaa karein
mazhab ke jhagDe chhoDein to peshe ko kyaa karein
jis taraf uTh gai hain aahein hain
chashm-e-bad-dur kyaa nigaahein hain
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasinon ko bhi kitnaa sahl hai bijli giraa denaa
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
khushbu jaise log mile afsaane mein
ek puraanaa khat kholaa anjaane mein
kaanch ke paar tire haath nazar aate hain
kaash khushbu ki tarah rang hinaa kaa hotaa