Shayari
leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
vaah kyaa raah dikhaai hai hamein murshid ne
kar diyaa kaabe ko gum aur kalisaa na milaa
واہ کیا راہ دکھائی ہے ہمیں مرشد نے
کر دیا کعبے کو گم اور کلیسا نہ ملا
वाह क्या राह दिखाई है हमें मुर्शिद ने
कर दिया का'बे को गुम और कलीसा न मिला

leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
dukhtar-e-raz ne uThaa rakkhi hai aafat sar par
khairiyat guzri ki angur ke beTaa na huaa
log kahte hain badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hain jo zamaane ko badal dete hain
shaikh apni rag ko kyaa karein reshe ko kyaa karein
mazhab ke jhagDe chhoDein to peshe ko kyaa karein
jis taraf uTh gai hain aahein hain
chashm-e-bad-dur kyaa nigaahein hain
ham aisi kul kitaabein qaabil-e-zabti samajhte hain
ki jin ko paDh ke laDke baap ko khabti samajhte hain
banaa kar faqiron kaa ham bhes 'ghaalib'
tamaashaa-e-ahl-e-karam dekhte hain
na durveshon kaa khirqa chaahiye na taaj-e-shaahaanaa
mujhe to hosh de itnaa rahun main tujh pe divaanaa
sulagti dhuup mein jal kar faqir-e-shab tiri khaak
kyuun khaan-qaah-e-shab-e-be-karaan main baiTh gai
kisi darvesh ke hujre se abhi aayaa huun
so tire hukm ki taamil nahin karni mujhe
ulfat to dekhiye miri didaar ke sabab
darvesh ban ke yaar ki chaukhaT pe aa gayaa
maal-o-zar ahl-e-duval saamne yuun ginte hain
ham faqiron ne na kuchh sarf kiyaa ho jaise