Shayari
bure bhale mein farq hai ye jaante hain sab magar
hai kaun nek kaun bad nazar nazar ki baat hai
yahi soch kar iktifaa chaar par kar gae shaikh-ji
mileingi vahaan un ko huur aur pariyaan vaghaira vaghaira
یہی سوچ کر اکتفا چار پر کر گئے شیخ جی
ملیں گی وہاں ان کو حور اور پریاں وغیرہ وغیرہ
यही सोच कर इक्तिफ़ा चार पर कर गए शैख़-जी
मिलेंगी वहाँ उन को हूर और परियाँ वग़ैरा वग़ैरा

bure bhale mein farq hai ye jaante hain sab magar
hai kaun nek kaun bad nazar nazar ki baat hai
mubham the sab nuqush naqaabon ki dhund mein
chehra ik aur bhi pas-e-chehra zarur thaa
khud-parasti khudaa na ban jaae
ehtiyaatan gunaah kartaa huun
aankh mein aansu kaa aur dil mein lahu kaa kaal hai
hai tamannaa kaa vahi jo zindagi kaa haal hai
musaafirat kaa valvala siyaahaton kaa mashghala
jo tum mein kuchh ziyaada hai safar karo safar karo
aankhon ko dekhne kaa saliqa jab aa gayaa
kitne naqaab chehra-e-asraar se uThe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
ye pahlaa ishq hai tumhaaraa soch lo
mire liye ye raastaa nayaa nahin
savaal karti kai aankhein muntazir hain yahaan
javaab aaj bhi ham soch kar nahin aae
main ne ye soch ke boe nahin khvaabon ke darakht
kaun jangal mein uge peD ko paani degaa