Shayari
ab to miliye bas laDaai ho chuki
ab to chaliye pyaar ki baatein karein
jo bhi buraa bhalaa hai allaah jaantaa hai
bande ke dil mein kyaa hai allaah jaantaa hai
جو بھی برا بھلا ہے اللہ جانتا ہے
بندے کے دل میں کیا ہے اللہ جانتا ہے
जो भी बुरा भला है अल्लाह जानता है
बंदे के दिल में क्या है अल्लाह जानता है

ab to miliye bas laDaai ho chuki
ab to chaliye pyaar ki baatein karein
zindagi kitni masarrat se guzarti yaa rab
aish ki tarah agar gham bhi gavaaraa hotaa
yaad aao mujhe lillaah na tum yaad karo
meri aur apni javaani ko na barbaad karo
muddatein ho gaiin bichhDe hue tum se lekin
aaj tak dil se mire yaad tumhaari na gai
un ras bhari aankhon mein hayaa khel rahi hai
do zahr ke pyaalon mein qazaa khel rahi hai
kis ko fursat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon kaa ishaaraa hotaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
apni khuddaari salaamat dil kaa aalam kuchh sahi
jis jagah se uTh chuke hain us jagah phir jaaein kyaa
nikle the donon bhes badal ke to kyaa ajab
main DhunDtaa khudaa ko phiraa aur khudaa mujhe
dulhan ki mehndi jaisi hai urdu zabaan ki shakl
khushbu bikhertaa hai ibaarat kaa harf harf
apne dil-e-betaab se main khud huun pareshaan
kyaa duun tumhein ilzaam main kuchh soch rahaa huun