Shayari
kabhi kabhi kitnaa nuqsaan uThaanaa paDtaa hai
airon ghairon kaa ehsaan uThaanaa paDtaa hai
tabdiliyon kaa nashsha mujh par chaDhaa huaa hai
kapDe badal rahaa huun chehra badal rahaa huun
تبدیلیوں کا نشہ مجھ پر چڑھا ہوا ہے
کپڑے بدل رہا ہوں چہرہ بدل رہا ہوں
तब्दीलियों का नश्शा मुझ पर चढ़ा हुआ है
कपड़े बदल रहा हूँ चेहरा बदल रहा हूँ

kabhi kabhi kitnaa nuqsaan uThaanaa paDtaa hai
airon ghairon kaa ehsaan uThaanaa paDtaa hai
kisi ke raste pe kaise nazrein jamaae rakkhun
abhi to karnaa mujhe hai khud intizaar meraa
tamaam rang adhure lage tire aage
so tujh ko lafz mein tasvir kartaa rahtaa huun
tahzib ki zanjir se uljhaa rahaa main bhi
tu bhi na baDhaa jism ke aadaab se aage
kisi ko DhunDte hain ham kisi ke paikar mein
kisi kaa chehra kisi se milaate rahte hain
ishq mein tahzib ke hain aur hi kuchh falsafe
tujh se ho kar ham khafaa khud se khafaa rahne lage
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
puchh kar kaun dil dukhaataa hai
haadse kab bataa ke hote hain
Dhal gai vasl ki shab Duub gayaa dil kaa charaagh
ab vahin baiThe rahein aap jahaan the baiThe
na ab vo shiddat-e-aavaargi na vahshat-e-dil
hamaare naam ki kuchh aur shohratein bhi gaiin
dil ne siine mein kuchh qaraar liyaa
jab tujhe khuub saa pukaar liyaa