Shayari
main use dafnaa to aayaa huun magar royaa nahin
farz puuraa kar diyaa par zimmedaari rah gai
office ki faailon mein tiri zulf kaa khayaal
dil apne kaam se hai dimaagh apne kaam se
آفس کی فائلوں میں تری زلف کا خیال
دل اپنے کام سے ہے دماغ اپنے کام سے
ऑफ़िस की फ़ाइलों में तिरी ज़ुल्फ़ का ख़याल
दिल अपने काम से है दिमाग़ अपने काम से

main use dafnaa to aayaa huun magar royaa nahin
farz puuraa kar diyaa par zimmedaari rah gai
vo baDi taab baDe hauslon vaalaa laDkaa
jab tiri yaad se laDtaa hai to ro detaa hai
milti hai zindagi to yahi puchhti hai bas
vo khud-kushi kaa khvaab jo dekhaa thaa kyaa huaa
rone vaale kahaan ye samjheinge
ro na paane mein masala kyaa hai
dalil di gai kahin nizaam se kiyaa gayaa
hamaaraa faisla hamaare naam se kiyaa gayaa
kamre mein kuchh bhi nahin bas intizaari rah gai
ek adhuraa 'ishq aur khushbu tumhaari rah gai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
shaam bhi thi dhuaan dhuaan husn bhi thaa udaas udaas
dil ko kai kahaaniyaan yaad si aa ke rah gaiin
tujh ko paa kar bhi na kam ho saki be-taabi-e-dil
itnaa aasaan tire ishq kaa gham thaa hi nahin
dil kabhi khvaab ke pichhe kabhi duniyaa ki taraf
ek ne ajr diyaa ek ne ujrat nahin di