Shayari
ye dushmani hai saaqi yaa dosti hai saaqi
auron ko jaam denaa mujh ko dikhaa dikhaa ke
jab chheDti hain un ko gumnaam aarzuein
vo mujh ko dekhte hain meri nazar bachaa ke
جب چھیڑتی ہیں ان کو گمنام آرزوئیں
وہ مجھ کو دیکھتے ہیں میری نظر بچا کے
जब छेड़ती हैं उन को गुमनाम आरज़ुएँ
वो मुझ को देखते हैं मेरी नज़र बचा के

ye dushmani hai saaqi yaa dosti hai saaqi
auron ko jaam denaa mujh ko dikhaa dikhaa ke
guftugu ke khatm ho jaane par aayaa ye khayaal
jo zabaan tak aa nahin paayaa vahi to dil mein thaa
jin hauslon se meraa junun mutmain na thaa
vo hausle zamaane ke meyaar ho gae
lazzat-e-dard mili ishrat-e-ehsaas mili
kaun kahtaa hai ham us bazm se naakaam aae
ab dard mein vo kaifiyat-e-dard nahin hai
aayaa huun jo us bazm-e-gul-afshaan se guzar ke
jab kabhi dekhaa hai ai 'zaidi' nigaah-e-ghaur se
har haqiqat mein mile hain chand afsaane mujhe
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
nazaa mein us ne is andaaz se dekhaa mujh ko
marte marte hui jiine ki tamannaa mujh ko
aaghaaz se zaahir hotaa hai anjaam jo hone vaalaa hai
andaaz-e-zamaana kahtaa hai puuri ho tamannaa mushkil hai
rahi na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi
to kis umiid pe kahiye ki aarzu kyaa hai
nai khvaahish rachaai jaa rahi hai
tiri furqat manaai jaa rahi hai