Shayari
na aabshaar na sahraa lagaa sake qimat
ham apni pyaas ko le kar dahan mein lauT aae
tu ne jis baat ko izhaar-e-mohabbat samjhaa
baat karne ko bas ik baat rakhi thi ham ne
تو نے جس بات کو اظہار محبت سمجھا
بات کرنے کو بس اک بات رکھی تھی ہم نے
तू ने जिस बात को इज़हार-ए-मोहब्बत समझा
बात करने को बस इक बात रखी थी हम ने

na aabshaar na sahraa lagaa sake qimat
ham apni pyaas ko le kar dahan mein lauT aae
shahr mein saare charaaghon ki ziyaa khaamosh hai
tirgi har samt phailaa kar havaa khaamosh hai
lagi vo tujh si to aalam mein munfarid Thahri
vagarna aam si lagti agar judaa lagti
vo maarka ki aaj bhi sar ho nahin sakaa
main thak ke muskuraa diyaa jab ro nahin sakaa
apni taraf to main bhi nahin huun abhi talak
aur us taraf tamaam zamaana usi kaa hai
jo shaam hoti hai har roz haar jaataa huun
main apne jism ki parchhaaiyon se laDte hue
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi