Shayari
yakum january hai nayaa saal hai
december mein puchhungaa kyaa haal hai
itnaa bedaariyon se kaam na lo
dosto khvaab bhi zaruri hai
اتنا بیداریوں سے کام نہ لو
دوستو خواب بھی ضروری ہے
इतना बेदारियों से काम न लो
दोस्तो ख़्वाब भी ज़रूरी है

yakum january hai nayaa saal hai
december mein puchhungaa kyaa haal hai
usi kaa shahr vahi muddai vahi munsif
hamein yaqin thaa hamaaraa qusur niklegaa
mire junun kaa natija zarur niklegaa
isi siyaah samundar se nuur niklegaa
log jis haal mein marne ki duaa karte hain
main ne us haal mein jiine ki qasam khaai hai
ik parinda abhi uDaan mein hai
tiir har shakhs ki kamaan mein hai
raavan raat jagaataa hai
koi raam-kahaani de
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ghussa aataa hai pyaar aataa hai
ghair ke ghar se yaar aataa hai
urdu mein baat kijiye urdu mein boliye
haq hai zabaan kaa pyaar kaa ras is mein gholiye
tamaam vahm o gumaan hai to ham bhi dhoka hain
isi khayaal se duniyaa ko main ne pyaar kiyaa
tiraa visaal baDi chiiz hai magar ai dost
visaal ko miri duniyaa-e-aarzu na banaa
nai mohabbatein 'khaalid' puraani dostiyaan
azaab-e-kashmakash-e-be-amaan mein rahte hain