Shayari
tum havas-paraston ke sainkaDon khudaa Thahre
ek hai khudaa apnaa dusraa nahin rakhte
A
Anjum Azimabadibaahar jhuum rahaa thaa mausam phulon kaa
andar ruThi thi hariyaali karte kyaa
باہر جھوم رہا تھا موسم پھولوں کا
اندر روٹھی تھی ہریالی کرتے کیا
बाहर झूम रहा था मौसम फूलों का
अंदर रूठी थी हरियाली करते क्या
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
usi pe sabr hai mujh ko har ek daur yahaan
bahaar aane se pahle khizaan se guzraa hai
jab ghunche ne sar apnaa garebaan se nikaalaa
bulbul ne qadam phir na gulistaan se nikaalaa