Shayari
jo hansnaa hansaanaa hotaa hai
rone ko chhupaanaa hotaa hai
dil jo TuTegaa to ik tarfa charaaghaan hogaa
kitne aainon mein vo shakl dikhaai degi
دل جو ٹوٹے گا تو اک طرفہ چراغاں ہوگا
کتنے آئینوں میں وہ شکل دکھائی دے گی
दिल जो टूटेगा तो इक तरफ़ा चराग़ाँ होगा
कितने आईनों में वो शक्ल दिखाई देगी

jo hansnaa hansaanaa hotaa hai
rone ko chhupaanaa hotaa hai
is vaqt vahaan kaun dhuaan dekhne jaae
akhbaar mein paDh leinge kahaan aag lagi thi
chaae bhi achchhi banaati hain miri begam magar
munh banaane mein to un kaa koi saani hi nahin
raat aai hai balaaon se rihaai degi
ab na divaar na zanjir dikhaai degi
ajiib lutf thaa naadaaniyon ke aalam mein
samajh mein aaiin to baaton kaa vo maza bhi gayaa
hamein qarina-e-ranjish kahaan mayassar hai
ham apne bas mein jo hote tiraa gilaa karte
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye dil kab ishq ke qaabil rahaa hai
kahaan is ko dimaagh o dil rahaa hai
dil toD diyaa us ne ye kah ke nigaahon se
patthar se jo Takraae vo jaam nahin hotaa
hans hans ke javaan dil ke ham kyuun na chunein TukDe
har shakhs ki qismat mein inaam nahin hotaa
toD kar kaabe ko masjid na banaao zaahid
khaana-barbaad kisi dil hi mein kar ghar paidaa