Shayari
vo habib ho ki rahbar vo raqib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo
dhuaan uThtaa nazar aataa hai har-su
abhi aabaad hai viraana dil kaa
دھواں اٹھتا نظر آتا ہے ہر سو
ابھی آباد ہے ویرانہ دل کا
धुआँ उठता नज़र आता है हर-सू
अभी आबाद है वीराना दिल का

vo habib ho ki rahbar vo raqib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo
hamein baada-kash-e-dard-e-tamannaa
hamin par band hai mai-khaana dil kaa
sab dikhaate hain tiraa aks miri aankhon mein
ham zamaane ko isi taur se mahbub hue
kaun royaa pas-e-divaar-e-chaman aakhir-e-shab
kyuun sabaa lauT gai raahguzar se puchho
aankhon mein ghul na jaaein kahin zulmaton ke rang
jis samt raushni hai udhar dekhte raho
aao dekhein ahl-e-vafaa ki hoti hai tauqir kahaan
kis mahfil kaa naam hai maqtal khinchti hai shamshir kahaan
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
jis ne mah-paaron ke dil pighlaa diye
vo to meri shaaeri thi main na thaa
tumhein ham is liye bhi sochte rahte hain aksar
ki ik tasvir mein dhundlaa saa hai chehraa tumhaaraa
vo shakhs jis ko dil o jaan se baDh ke chaahaa thaa
bichhaD gayaa to ba-zaahir koi malaal nahin