Shayari
sab ke sab mil kar bhi mujh ko zer kar sakte na the
meraa apnaa haath shaamil hai miri paspaai mein
ik 'umr se ulfat ke kaTahre mein khaDaa hai
bhugtaae hain is dil ne muqadmaat musalsal
اک عمر سے الفت کے کٹہرے میں کھڑا ہے
بھگتائے ہیں اس دل نے مقدمات مسلسل
इक 'उम्र से उल्फ़त के कटहरे में खड़ा है
भुगताए हैं इस दिल ने मुक़दमात मुसलसल

sab ke sab mil kar bhi mujh ko zer kar sakte na the
meraa apnaa haath shaamil hai miri paspaai mein
tu chhuDaa kar haath ik din daf'atan kho jaaegaa
aur meri jeb mein teraa pata rah jaaegaa
kuud kar divaar 'arshi' gham gharon mein aa base
anginat taa'viz darvaazon pe laTke rah gae
kisi ke lahje ki yakh-bastagi qayaamat thi
ThiThur ke rah gayaa lab par savaal kaa mausam
ik lafz bhi na lab se kahaa aur ro diye
'arshi' uThaae dast-e-du'aa aur ro diye
lab-e-khaamosh mein hi jaa-e-amaan aaj bhi hai
varna kahne ko to har munh mein zabaan aaj bhi hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jaane kitne Dubne vaale saahil par bhi Duub gae
pyaare! tufaanon mein rah kar itnaa bhi ghabraanaa kyaa
mujhe to ishq hai phulon mein sirf khushbu se
bulaa rahi hai kisi laala ki mahak mujh ko
haan ye mumkin hai magar itnaa zaruri bhi nahin
jo koi pyaar mein haaraa vahi fankaar huaa
main ne bas itnaa hi likhaa i-love-you aur phir
us ne aage kar diyaa thaa gaal internet par