Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
de aayaa apni jaan bhi darbaar-e-ishq mein
phir bhi na ban sakaa khabar akhbaar-e-ishq mein
دے آیا اپنی جان بھی دربار عشق میں
پھر بھی نہ بن سکا خبر اخبار عشق میں
दे आया अपनी जान भी दरबार-ए-इश्क़ में
फिर भी न बन सका ख़बर अख़बार-ए-इश्क़ में

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
ghussa aataa hai pyaar aataa hai
ghair ke ghar se yaar aataa hai
urdu mein baat kijiye urdu mein boliye
haq hai zabaan kaa pyaar kaa ras is mein gholiye