Shayari
dam bhar ke liye hoti hai taskin si dil ko
aage na baDhaa is se asar apni duaa kaa
abhi aankhon hi ko de bazm mein gardish saaqi
yahi paimaane chhalakte rahein jaam aane tak
ابھی آنکھوں ہی کو دے بزم میں گردش ساقی
یہی پیمانے چھلکتے رہیں جام آنے تک
अभी आँखों ही को दे बज़्म में गर्दिश साक़ी
यही पैमाने छलकते रहें जाम आने तक

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi