Shayari
ishq mein ye tafraqa-baazi bahut maayub hai
pyaar ko shiia vahaabi aur sunni mat samajh
do khat ba-naam-e-zauja-o-jaanaan likhe magar
donon khaton kaa us se lifaafa badal gayaa
دو خط بنام زوجہ و جاناں لکھے مگر
دونوں خطوں کا اس سے لفافہ بدل گیا
दो ख़त ब-नाम-ए-ज़ौजा-ओ-जानाँ लिखे मगर
दोनों ख़तों का उस से लिफ़ाफ़ा बदल गया

ishq mein ye tafraqa-baazi bahut maayub hai
pyaar ko shiia vahaabi aur sunni mat samajh
das baara ghazliyaat jo rakhtaa hai jeb mein
bazm-e-sukhan mein hai vo nishaani vabaal ki
na ye qaanun kaam aayaa thaa raanjhe ke zaraa saa bhi
usi ko bhains milti hai ho jis ke haath mein laaThi
begam se kah rahaa thaa ye koi khalaa-navard
baiThi hui hai chaand pe ''guDiyaa'' mire liye
kitni mazaahiya hai ye botal ke jin ki baat
aaqaa ab inqalaab hai do chaar din ki baat
moarrikh likh na dein suqraat mujh ko
main lassi kaa piyaala pi rahaa huun
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ke har goshe mein jag achchhaa nahin
kuchh khalaa bhi rakh khudaa ke vaaste
ik umr tak main us ki zarurat banaa rahaa
phir yuun huaa ki us ki zarurat badal gai
badlaa jo vaqt gahri rifaaqat badal gai
suraj Dhalaa to saae ki surat badal gai
TukDe hue the daaman-e-hasti ke jis qadar
dalq-e-gadaa-e-ishq ke paivand ho gae