Shayari
paarsaai kaa tujhe 'rohit' milegaa kyaa samar
kahte hain duniyaa jise sadiyon se be-tartib hai
dil ke har goshe mein jag achchhaa nahin
kuchh khalaa bhi rakh khudaa ke vaaste
دل کے ہر گوشے میں جگ اچھا نہیں
کچھ خلا بھی رکھ خدا کے واسطے
दिल के हर गोशे में जग अच्छा नहीं
कुछ ख़ला भी रख ख़ुदा के वास्ते

paarsaai kaa tujhe 'rohit' milegaa kyaa samar
kahte hain duniyaa jise sadiyon se be-tartib hai
in bahaaron ki havaaon ko shikaayat ham se hai
ham kali ko lams se gul karte hain jaan-e-jigar
'ishq ki fitrat sadaa aazaad hai
qaid mein dair-o-haram ki kab rahaa
qaid kyaa dair-o-haram ki zaahido
jalva-gar hai har taraf meraa sanam
huun khafaa saare zamaane se faqat tere liye
'ishq ki tauhid mere tu kabhi to jaanegaa
pattharon ke ye sanam sunte hain kab
kaifiyat apni khudaa hi jaane hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
mujhe lagtaa hai dil khinch kar chalaa aataa hai haathon par
tujhe likkhun to meri ungliyaan aisi dhaDakti hain
phuul barse kahin shabnam kahin gauhar barse
aur is dil ki taraf barse to patthar barse