Shayari
muskuraa kar agar vo dekhe to
aaine par nishaan paD jaae
ik dost mujh se kahne lagaa kuchh to sharm kar
bakre ke saath us ne utaari hain selfiyaan
اک دوست مجھ سے کہنے لگا کچھ تو شرم کر
بکرے کے ساتھ اس نے اتاری ہیں سیلفیاں
इक दोस्त मुझ से कहने लगा कुछ तो शर्म कर
बकरे के साथ उस ने उतारी हैं सेल्फ़ियाँ

muskuraa kar agar vo dekhe to
aaine par nishaan paD jaae
kyaa khabar kaun saa rasta tiri jaanib nikle
be-iraada bhi kai baar safar karte hain
laD rahaa huun main akelaa kaar-zaar-e-hast mein
kar faraaham tu bhi zaalim apne hone kaa javaaz
be-chehra insaanon ki is basti mein
achchhaa hai aaine toD diye jaaein
uqaabi ruuh jab bedaar hoti hai zanaani mein
amaan shauhar ko phir milti nahin is daar-e-faani mein
kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyaan tak laae
kaun laa saktaa hai ham dil ko jahaan tak laae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi