Shayari
hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
kahnaa kisi kaa subh-e-shab-e-vasl naaz se
hasrat tumhaari jaan hamaari nikal gai
کہنا کسی کا صبح شب وصل ناز سے
حسرت تمہاری جان ہماری نکل گئی
कहना किसी का सुब्ह-ए-शब-ए-वस्ल नाज़ से
हसरत तुम्हारी जान हमारी निकल गई

hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
dil hi to hai na aae kyuun dam hi to hai na jaae kyuun
ham ko khudaa jo sabr de tujh saa hasin banaae kyuun
baad muddat ke ye ai 'daagh' samajh mein aayaa
vahi daanaa hai kahaa jis ne na maanaa dil kaa
na ronaa hai tariqe kaa na hansnaa hai saliqe kaa
pareshaani mein koi kaam ji se ho nahin saktaa
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
jhuTi phir kis ki qasam khaaiyegaa
kal tak to aashnaa the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaaj hai aage ki khair ho
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
qismat ik shab le gai mujh ko jo baagh-e-vasl mein
dekhtaa kyaa huun ki us kaa baaghbaan koi nahin
kis vaqt judaa mujh se vo kambakht hui thi
DhunDun huun bahut aur shab-e-furqat nahin milti
us zulf pe phabti shab-e-dijur ki sujhi
andhe ko andhere mein baDi duur ki sujhi