Shayari
dukh nahin hai ki jal rahaa huun main
raushni mein badal rahaa huun main
tu khvaab-e-digar hai tiri tadfin kahaan ho
dil mein to kisi aur ko dafnaayaa huaa hai
تو خواب دگر ہے تری تدفین کہاں ہو
دل میں تو کسی اور کو دفنایا ہوا ہے
तू ख़्वाब-ए-दिगर है तिरी तदफ़ीन कहाँ हो
दिल में तो किसी और को दफ़नाया हुआ है

dukh nahin hai ki jal rahaa huun main
raushni mein badal rahaa huun main
main zakhm khaa ke giraa thaa ki thaam us ne liyaa
muaaf kar ke mujhe intiqaam us ne liyaa
ab vo titli hai na vo umr taaaqub vaali
main na kahtaa thaa bahut duur na jaanaa mire dost
kabhi dekhaa hi nahin us ne pareshaan mujh ko
main ki rahtaa huun sadaa apni nigahbaani mein
us ko jaane de agar jaataa hai
zahr kam ho to utar jaataa hai
roz aaseb aate jaate hain
aisaa kyaa hai gharib-khaane mein
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
jangal ke biich vahshat ghar mein jafaa o kulfat
ai dil bataa ki tere maare ham ab kidhar jaan
tumhaare dil mein kyaa naa-mehrbaani aa gai zaalim
ki yuun pheinkaa judaa mujh se phaDakti machhli ko jal siin
kiyaa hai chaak dil tegh-e-taghaaful siin tujh ankhiyon niin
nigah ke rishta o sozan suun palkaan ke rafu kiije
hazaar kos nigaahon se dil ki manzil tak
koi qarib se dekhe to ham ko pahchaane