Shayari
vo lutf uThaaegaa safar kaa
aap-apne mein jo safar karegaa
G
Ghamgeen Dehlvihaath se mere vo piitaa nahin muddat se sharaab
yaaro kyaa apni khushi main ne pilaanaa chhoDaa
ہاتھ سے میرے وہ پیتا نہیں مدت سے شراب
یارو کیا اپنی خوشی میں نے پلانا چھوڑا
हाथ से मेरे वो पीता नहीं मुद्दत से शराब
यारो क्या अपनी ख़ुशी मैं ने पिलाना छोड़ा
vo lutf uThaaegaa safar kaa
aap-apne mein jo safar karegaa
jaam le kar mujh se vo kahtaa hai apne munh ko pher
ru-ba-ru yuun tere mai piine se sharmaate hain ham
mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se
na ikhtiyaar hai us kaa na meraa chaaraa hai
meri ye aarzu hai vaqt-e-marg
us ki aavaaz kaan mein aave
kiyaa badnaam ik aalam ne 'ghamgin' paak-baazi mein
jo main teri tarah se bad-nazar hotaa to kyaa hotaa
koi samjhaao unhein bahr-e-khudaa ai momino
us sanam ke ishq mein jo mujh ko samjhaate hain log
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ai be-khudi Thahr ki bahut din guzar gae
mujh ko khayaal-e-yaar kahin DhunDtaa na ho
divaane chaahtaa hai agar vasl-e-yaar ho
teraa baDaa raqib hai dil is se raah rakh
naakhun-e-yaar se bhi khul na saki
daana-e-ashk ki girah ai chashm
allaah re husn-e-dost ki aaina-daariyaan
ahl-e-nazar ko naqsh-ba-divaar kar diyaa
aks-e-khayaal-e-yaar sanvaaraa kareinge ham
shishe mein aaine ko utaaraa kareinge ham