Shayari
dekhne sunne kaa maza jab hai
kuchh haqiqat ho kuchh fasaana ho
apni tasvir ke ik rukh ko nihaan rakhtaa hai
ye charaagh apnaa dhuaan jaane kahaan rakhtaa hai
اپنی تصویر کے اک رخ کو نہاں رکھتا ہے
یہ چراغ اپنا دھواں جانے کہاں رکھتا ہے
अपनी तस्वीर के इक रुख़ को निहाँ रखता है
ये चराग़ अपना धुआँ जाने कहाँ रखता है

dekhne sunne kaa maza jab hai
kuchh haqiqat ho kuchh fasaana ho
hisaar-e-jism miraa toD-phoD Daalegaa
zarur koi mujhe qaid se chhuDaa legaa
ab aur der na kar hashr barpaa karne mein
miri nazar tire didaar ko tarasti hai
chale the jis ki taraf vo nishaan khatm huaa
safar adhuraa rahaa aasmaan khatm huaa
har ek saans mujhe khinchti hai us ki taraf
ye kaun mere liye be-qaraar rahtaa hai
sahraa jangal saagar parbat
in se hi rasta miltaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
main paa sakaa na kabhi is khalish se chhuTkaaraa
vo mujh se jiit bhi saktaa thaa jaane kyuun haaraa
aate hue is tan mein na jaate hue tan se
hai jaan-e-makin ko na lagaavaT na rukaavaT