Shayari
aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
bhare hain raat ke reze kuchh aise aankhon mein
ujaalaa ho to ham aankhein jhapakte rahte hain
بھرے ہیں رات کے ریزے کچھ ایسے آنکھوں میں
اجالا ہو تو ہم آنکھیں جھپکتے رہتے ہیں
भरे हैं रात के रेज़े कुछ ऐसे आँखों में
उजाला हो तो हम आँखें झपकते रहते हैं

aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
aaina dekh kar tasalli hui
ham ko is ghar mein jaantaa hai koi
shaam se aankh mein nami si hai
aaj phir aap ki kami si hai
aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne e'tibaar kiyaa
aap ke baa'd har ghaDi ham ne
aap ke saath hi guzaari hai
kabhi to chaunk ke dekhe koi hamaari taraf
kisi ki aankh mein ham ko bhi intizaar dikhe
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
zaraa dhimi ho to khushbu bhi bhali lagti hai
aankh ko rang bhi saare nahin achchhe lagte
kaisaa chehra hai raat ki tafsil
kaun jal kar bujhaa hai umr ke saath
abhi se achchhaa huaa raat so gai varna
kabhi to khatm-e-safar ratjage kaa honaa thaa