Shayari
aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
shaam ke saae baalishton se naape hain
chaand ne kitni der lagaa di aane mein
شام کے سائے بالشتوں سے ناپے ہیں
چاند نے کتنی دیر لگا دی آنے میں
शाम के साए बालिश्तों से नापे हैं
चाँद ने कितनी देर लगा दी आने में

aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
aaina dekh kar tasalli hui
ham ko is ghar mein jaantaa hai koi
shaam se aankh mein nami si hai
aaj phir aap ki kami si hai
aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne e'tibaar kiyaa
aap ke baa'd har ghaDi ham ne
aap ke saath hi guzaari hai
kabhi to chaunk ke dekhe koi hamaari taraf
kisi ki aankh mein ham ko bhi intizaar dikhe
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
shaam aae aur ghar ke liye dil machal uThe
shaam aae aur dil ke liye koi ghar na ho
kabhi to shaam Dhale apne ghar gae hote
kisi ki aankh mein rah kar sanvar gae hote
jis jaa makin banne ke dekhe the main ne khvaab
us ghar mein ek shaam ki mehmaan bhi na thi