Shayari
ai miri jaan apne ji ke sivaa
kaun teraa hai kaun meraa hai
'hafiz' ahl-e-zabaan kab maante the
baDe zoron se manvaayaa gayaa huun
حفیظؔ اہل زباں کب مانتے تھے
بڑے زوروں سے منوایا گیا ہوں
'हफ़ीज़' अहल-ए-ज़बाँ कब मानते थे
बड़े ज़ोरों से मनवाया गया हूँ

ai miri jaan apne ji ke sivaa
kaun teraa hai kaun meraa hai
'hafiz' apni boli mohabbat ki boli
na urdu na hindi na hindostaani
iraade baandhtaa huun sochtaa huun toD detaa huun
kahin aisaa na ho jaae kahin aisaa na ho jaae
doston ko bhi mile dard ki daulat yaa rab
meraa apnaa hi bhalaa ho mujhe manzur nahin
vafaa jis se ki bevafaa ho gayaa
jise but banaayaa khudaa ho gayaa
dekhaa jo khaa ke tiir kamin-gaah ki taraf
apne hi doston se mulaaqaat ho gai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa