Shayari
is ko samjho na khatt-e-nafs 'hafiz'
aur hi kuchh hai shaaeri se gharaz
yaad aaiin us ko dekh ke apni musibatein
roe ham aaj khuub lipaT kar raqib se
یاد آئیں اس کو دیکھ کے اپنی مصیبتیں
روئے ہم آج خوب لپٹ کر رقیب سے
याद आईं उस को देख के अपनी मुसीबतें
रोए हम आज ख़ूब लिपट कर रक़ीब से

is ko samjho na khatt-e-nafs 'hafiz'
aur hi kuchh hai shaaeri se gharaz
jo divaanon ne paimaaish ki hai maidaan-e-qayaamat ki
faqat do gaz zamin Thahri vo mere dasht-e-vahshat ki
o aankh badal ke jaane vaale
kuchh dhyaan kisi ki aajizi kaa
pari thi koi chhalaavaa thi yaa javaani thi
kahaan ye ho gai champat jhalak dikhaa ke mujhe
kabhi masjid mein jo vaaiz kaa bayaan suntaa huun
yaad aati hai mujhe pir-e-kharaabaat ki baat
bahut duur to kuchh nahin ghar miraa
chale aao ik din Tahalte hue
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
mujh se ziyaada kaun tamaasha dekh sakegaa
gaandhi-ji ke tinon bandar mere andar
ham ne duniyaa se suluk aisaa kiyaa hai 'raanaa'
ham na honge to bahut yaad karegi duniyaa
rakhnaa hamesha yaad ye meraa kahaa huaa
aataa nahin hai luuT ke paani bahaa huaa
uThaa laayaa huun saare khvaab apne
tiri yaadon ke bosida makaan se