Shayari
giregi kal bhi yahi dhuup aur yahi shabnam
is aasmaan se nahin aur kuchh utarne kaa
jo mere paas thaa sab luuT le gayaa koi
kivaaD band rakhun ab mujhe hai Dar kis kaa
جو میرے پاس تھا سب لوٹ لے گیا کوئی
کواڑ بند رکھوں اب مجھے ہے ڈر کس کا
जो मेरे पास था सब लूट ले गया कोई
किवाड़ बंद रखूँ अब मुझे है डर किस का

giregi kal bhi yahi dhuup aur yahi shabnam
is aasmaan se nahin aur kuchh utarne kaa
teri aankhon mein aansu bhi dekhe hain
tere haathon mein dekhaa hai khanjar bhi
reza reza raat bhar jo khauf se hotaa rahaa
din ko saanson par abhi tak bojh us patthar kaa hai
dekhte hain dar-o-divaar harifaana mujhe
itnaa be-bas bhi kahaan hogaa koi ghar mein kabhi
shahr ke aaiin mein ye mad bhi likkhi jaaegi
zinda rahnaa hai to qaatil ki sifaarish chaahiye
ham kisi bahrupiye ko jaan lein mushkil nahin
us ko kyaa pahchaaniye jis kaa koi chehraa na ho
mujhe ye Dar hai tiri aarzu na miT jaae
bahut dinon se tabiat miri udaas nahin
fitrat mein aadmi ki hai mubham saa ek khauf
us khauf kaa kisi ne khudaa naam rakh diyaa
javaab aae na aae shikan to aaegi
savaal puchh hi lenaa agarche Darte hue
ajnabiyyat ki jhalak dekhi gai lahje mein
baat Darne ki hai is baat pe Dar jaaiye naa
gardan jhuki hui hai uThaate nahin hain sar
Dar hai unhein nigaah laDegi nigaah se
leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo