Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
mujh ko ye dard viraasat mein milaa hai daaem
shaaeri qarz hai mujh par jo adaa kartaa huun
مجھ کو یہ درد وراثت میں ملا ہے دائم
شاعری قرض ہے مجھ پر جو ادا کرتا ہوں
मुझ को ये दर्द विरासत में मिला है दाएम
शायरी क़र्ज़ है मुझ पर जो अदा करता हूँ

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
is naghmagi kaa thoDaa gunah-gaar main bhi huun
mujh se bhi is jahaan mein halchal rahi hai dost
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain