Shayari
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
yazid-e-vaqt miraa khuun bahaanaa chaahtaa hai
vo karbalaa mein mujhe phir se laanaa chaahtaa hai
یزید وقت مرا خوں بہانا چاہتا ہے
وہ کربلا میں مجھے پھر سے لانا چاہتا ہے
यज़ीद-ए-वक़्त मिरा ख़ूँ बहाना चाहता है
वो कर्बला में मुझे फिर से लाना चाहता है

apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
jab ye maanaa ki dil mein Dar hai bahut
tab kahin jaa ke dil se Dar niklaa
madrasa meraa meri zaat mein hai
khud moallim huun khud kitaab huun main
milnaa aur bichhaD jaanaa kisi raste par
ik yahi qissa aadamiyon ke saath rahaa
tiraa aanaa mire ghar ho gayaa ghar ghair ke jaanaa
mujhe maalum thi is khvaab ki taabir pahle se