Shayari
us rashk-e-chaman ke taiin gar dekhne paaun
marne se jo bach jaaun to phulaa na samaaun
I
Ishrat Bareilvisharaar-e-gham se tire alam mein ye mere dil ke hain daagh raushan
kare divaali ko jaise aalam tamaam ghar mein charaagh raushan
شرار غم سے ترے الم میں یہ میرے دل کے ہیں داغ روشن
کرے دیوالی کو جیسے عالم تمام گھر میں چراغ روشن
शरार-ए-ग़म से तिरे अलम में ये मेरे दिल के हैं दाग़ रौशन
करे दिवाली को जैसे आलम तमाम घर में चराग़ रौशन
us rashk-e-chaman ke taiin gar dekhne paaun
marne se jo bach jaaun to phulaa na samaaun
us ki tasvir mein khun-rezi ke sab chaav nikaal
ai musavvir miri gardan pe kai ghaav nikaal
kiyaa jo pahle hi daagh dil ko main us ke gham mein to ishq bolaa
charaagh raushan muraad haasil muraad haasil charaagh raushan
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
minnat-e-chaara-saaz kaun kare
dard jab jaan-navaaz ho jaae
ek hangaame pe mauquf hai ghar ki raunaq
nauha-e-gham hi sahi naghma-e-shaadi na sahi
aaj bahut udaas huun
yuun koi khaas gham nahin