Shayari
khud apne aap se larzaan rahi ulajhti rahi
uThaa na baar-e-garaan raat ki javaani se
J
Jalib Nomanipighalte dekh ke suraj ki garmi
abhi maasum kirnein ro gai hain
پگھلتے دیکھ کے سورج کی گرمی
ابھی معصوم کرنیں رو گئی ہیں
पिघलते देख के सूरज की गर्मी
अभी मासूम किरनें रो गई हैं
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai