Shayari
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
ik lahar us ki aankh mein hai hausla-shikan
ik rang us ke chehre pe bahkaane vaalaa hai
اک لہر اس کی آنکھ میں ہے حوصلہ شکن
اک رنگ اس کے چہرے پہ بہکانے والا ہے
इक लहर उस की आँख में है हौसला-शिकन
इक रंग उस के चेहरे पे बहकाने वाला है

vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
maaein darvaazon par hain
baarish hone vaali hai
mere hone se na honaa hai miraa
aag jalne se dhuaan aabaad hai
bojh se jhukne lagi shaakh to jaa kar ham ne
aashiyaane ko kisi aur shajar par rakkhaa
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
har ek baat ko chup-chaap kyuun sunaa jaae
kabhi to hausla kar ke nahin kahaa jaae
zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraan ki tarah
kis ko itnaa hausla thaa kaun ji kar dekhtaa
har taraf hain khaana-barbaadi ke manzar be-shumaar
kuchh Thikaana hai bhalaa is jazba-e-taamir kaa
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ghurur-e-husn na kar jazba-e-zulekhaa dekh
kiyaa hai ishq ne yusuf ghulaam aashiq kaa
tu mohabbat se koi chaal to chal
haar jaane kaa hausla hai mujhe