Shayari
jalaane vaale jalaate hi hain charaagh aakhir
ye kyaa kahaa ki havaa tez hai zamaane ki
ham mohabbat kaa sabaq bhuul gae
teri aankhon ne paDhaayaa kyaa hai
ہم محبت کا سبق بھول گئے
تیری آنکھوں نے پڑھایا کیا ہے
हम मोहब्बत का सबक़ भूल गए
तेरी आँखों ने पढ़ाया क्या है

jalaane vaale jalaate hi hain charaagh aakhir
ye kyaa kahaa ki havaa tez hai zamaane ki
hone do charaaghaan mahlon mein kyaa ham ko agar divaali hai
mazdur hain ham mazdur hain ham mazdur ki duniyaa kaali hai
kise khabar thi ki le kar charaagh-e-mustafavi
jahaan mein aag lagaati phiregi bu-lahabi
nahin afsun hi ko afsaane ki manzil maalum
ghalat aaghaaz kaa hotaa hi hai anjaam ghalat
ai sajda-farosh-e-ku-e-butaan har sar ke liye ik chaukhaT hai
ye bhi koi shaan-e-ishq hui jis dar pe gae sar phoD liyaa
buton ko toD ke aisaa khudaa banaanaa kyaa
buton ki tarah jo ham-shakl aadmi kaa ho
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye dard ki hai teri mohabbat ki amaanat
mar jaaeinge is dard kaa darmaan na kareinge
manjdhaar mein naav Duub gai to maujon se aavaaz aai
dariyaa-e-mohabbat se 'kausar' yuun paar utaaraa karte hain
jaane kitne Dubne vaale saahil par bhi Duub gae
pyaare! tufaanon mein rah kar itnaa bhi ghabraanaa kyaa
mujhe to ishq hai phulon mein sirf khushbu se
bulaa rahi hai kisi laala ki mahak mujh ko