Shayari
us ko pataa nahin hai khizaan ke mizaaj kaa
vo vaaqif-e-bahaar huaa hai abhi abhi
doston aur dushmanon mein kis tarah tafriq ho
doston aur dushmanon ki be-rukhi hai ek si
دوستوں اور دشمنوں میں کس طرح تفریق ہو
دوستوں اور دشمنوں کی بے رخی ہے ایک سی
दोस्तों और दुश्मनों में किस तरह तफ़रीक़ हो
दोस्तों और दुश्मनों की बे-रुख़ी है एक सी

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue