Shayari
bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
kis se izhaar-e-muddaaa kiije
aap milte nahin hain kyaa kiije
کس سے اظہار مدعا کیجے
آپ ملتے نہیں ہیں کیا کیجے
kis se iz.hār-e-mudda.ā kiije
aap milte nahīñ haiñ kyā kiije

bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
ek qattaala chaahiye ham ko
ham ye ealaan-e-aam kar rahe hain
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa
ham ajab hain ki us ki baahon mein
shikva-e-naarasaai karte hain
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
javaani ki duaa laDkon ko naa-haq log dete hain
yahi laDke miTaate hain javaani ko javaan ho kar
'faani' duaa-e-marg ki takraar kyaa zarur
ghaafil nahin ki un se taqaazaa kare koi
haae koi davaa karo haae koi duaa karo
haae jigar mein dard hai haae jigar ko kyaa karun
koi davaa na de sake mashvara-e-duaa diyaa
chaaragaron ne aur bhi dard dil kaa baDhaa diyaa
hai muddaaa-e-ishq hi duniyaa-e-muddaaa
ye muddaaa na ho to koi muddaaa na ho
kyaa balaa thi adaa-e-pursish-e-yaar
mujh se izhaar-e-muddaaa na huaa