Shayari
ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
phir us gali se apnaa guzar chaahtaa hai dil
ab us gali ko kaun si basti se laaun main
پھر اس گلی سے اپنا گزر چاہتا ہے دل
اب اس گلی کو کون سی بستی سے لاؤں میں
phir us galī se apnā guzar chāhtā hai dil
ab us galī ko kaun sī bastī se lā.ūñ maiñ

ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
aaj bahut din baa'd main apne kamre tak aa niklaa thaa
juun hi darvaaza kholaa hai us ki khushbu aai hai
shishe ke is taraf se main sab ko tak rahaa huun
marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein
main ab har shakhs se uktaa chukaa huun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kyaa
vo jo na aane vaalaa hai naa us se mujh ko matlab thaa
aane vaalon se kyaa matlab aate hain aate honge
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
adhuri vafaaon se ummid rakhnaa
hamaare bhi dil ki ajab saadgi hai
doston se is qadar sadme uThaae jaan par
dil se dushman ki adaavat kaa gila jaataa rahaa
munhadim hotaa chalaa jaataa hai dil saal-ba-saal
aisaa lagtaa hai girah ab ke baras TuTti hai
kartaa hai kyaa ye mohtasib-e-sang-dil ghazab
shishon ke saath dil na kahin chuur chuur hon